Nasri Nazm
Shukr Hai Ab Duniya Azad Hai Tumse:
Tum, jo raat ko sharaab pi kay hasstay ho,
Aur ultiyyan bhi kertay ho,
Jo choohon ki manand aik hi bill mein bastay ho,
Aur samajhtay ho kay tum to "left" ho,
Kay tum hi haq pe ho,
Aur tumharay saath hi ziyaadti hui hai,
Aur sochtay ho kay aik din duniya tumhe sajda keray gi,
Tum, jo do takkay ki...Insaaniyyat ho,
Shooder ho!
So yaad rakho:
Tumharay khoo'n mein keecharr hai, jo roshni ka dushman hai.
Aur tum andhay ho.
Aur aik andha aur aik dekhnay wala kabhi brabar nahi ho saktay.
To tum uss ki cheezon per andhi nazar kyunker rakhtay ho?
Hassad kyun kertay ho? Tum sochtay kyun nahin?
Tumharay ooper anay walay azaab se,
Kay jis se hum bhi derrtay hain,
Baykhabar kyun rehtay ho?
Haan tum jo raat ko sharaab pi kay raqs kertay ho,
Ahista ahista tum apnay hi aap thorra aur mertay ho,
Na samajh ho, aur na hi samajh saktay ho.
Aaj tum, apnay hi saayay kay humraaz, dertay ho,
Hum se bigarrtay ho, sub hi se larrtay ho,
To shayed aisay hi hona tha,
Shayed tum sahi kertay ho.
So tumhe tumhara azaab mubarak ho.
------------------------------------------------
Aray Tu to Paison Waali Hai!
Ye unn ko jub pata challa to baysharam se ho gaye
'Jaanay na paye haath se', iss darr se 'tere ho gaye'
Aur duur se ab chal diye, jo paas hi mein rehte thay,
Woh jo paresha'n si shakal, aur haath mein ik phone liye,
Jo jaeb se nikaal ker, sarrak kay paar,
Ankhon hi ankhon mein, taaziyyat na kernay kay,
Bahaanay laakh soch ker,
Khaamoshion ki taar per (tujhe) sookhnay ko daal ker,
Sardiyyon mein dhoop ki si aas bun kay,
Ojhal ho jaaya kertay thay.
Woh baysharam se log aaj uth kay jo salam keren
To kyun na ho humein khushi?
Dekh ye karigari:
Ho rahay hain ehtemaam, aur keh rahay hain bar bar:
'Khuda hi ki ye shaan hai, jo shaan hai aaj aap ki!'
Kya aap ko maloom hai woh 'aap' ki ummeed se hai?
Munaafqat ki haamila guzashta naw maheenon se
Kuch aisi taqaaleef mein hai
Kay jinn ka hal hai aap ki tajoriyyon ki wussatein.